Saturday, April 21, 2018

Internet Se Paise Kaise Kamaye – इंटरनेट से पैसे कैसे कमाए in Hindi

Namaskar dosto aaj m aapko btaane jaa rha hu internet se ghr bethe paisa kaise kmaayen

Internet Se Paise Kaise Kamaye – इंटरनेट से पैसे कैसे कमाए in Hindi  

Internet Se Paise Kaise Kamaye – इंटरनेट से पैसे


Aaj internet puri duniya mein apna vistar kar raha hai. Har jagah internet ki madad  se hi kaam kiya jaa raha hai. Aise mein yeh prashna sabhi poochte hain ki internet se paise kaise kamaye jayein? Berozgaar, vidhyarti, mahilayen aur masik vetan pane wale log bhi Internet se paisa kamane ke tarike jaanna chahte hain. To aaiye jaane woh tarike jinke dwara aap internet se paisa kama sakte hain. Internet Se Paise Kaise Kamaye in Hindi.

Main aapko kuch yese ideas or topics suggest karunga ki jisse aap internet ke through badi asaani se kuch mehnat karke accha paisa kama sakte hai or aapko 100% paisa bhi milega. Aap logo ne internet se paise kamane ke baare me sabse jayda Blogging, youtube, online Author, online teaching, online survey, Buy and sell products etc ke baare me padha hoga. Me aapko in sab ke alawa bhi kuch khaas or saral ideas bataunga kyonki kabhi kabhi Blogging, teaching, videos making etc sab ke liye asaan nahi hota hai. To chaliye jaante hai ki kaise kare.

Blogging kare

Blogging yani internet par kisi bhi vishay par apne vichar likhna. Ise sab padhte hain. Yadi aap ke vichar doosron ko acche lage to dheere-dheere aapke lekhon ko padhne walon ki sankhya badhti jaati hai aur apka blog lokpriya ho jata hai. Jab apka blog lokpriya ho jata hai to companies apne products ka prachaar karne ke liye unka vigyapan aapke blog par dena chahati hain aur iske badle mein woh aapko accha paisa detee hain. Internet par aise kai sites hain jo aapko free blog banane deti hain. Iske saath hi kai baar publication companies blog mein likhe aapke lekhon, kavitaon ko khareed letee hain jisse accha paisa milta h...

Shikshak bankar

Aap internet par online shikshak bankar bhi paisa kama sakte hain.  Aap apni  ruchi ke vishay mein notes banaiye. Apke pass computer ke saath web camera aur micro phone hona chahiye. Kuch website jaise www.tutorindia.net  aise hain jo aapki padhai aur aapki visheshtaon ke aadhar par aapko online shikshak banne ka mauka detee hain. In websites mein aap apna panjikaran karwakar online padhane ka kaam shuru kar sakte hain jisse apko accha paisa prapt ho sakta hai.

Kitab likhkar

Yadi aap lekhak hain aur upanyas ya kahani ki kitaab likhna chahte hain to aap Internet par usay likh sakte hain. Aapko apni kitab MS-Word mein type karni hogi. Iske baad kuch website jaise Amazon’s kindle, www.pothi.com aisi hai jo e-book banati hain jise internet par paise dekar padha jaata hai. Is prakar agar aapki book acchi hai to ise kafi saare log paisa dekar padhenge aur us kamai se ek bada hissa apko bhi milega.

Chitron ko bechkar

Agar aap achhe chitrakaar hain to aap chitrakari karke bhi internet se paisa kama sakte hain. Aap coffee cup, T-shirts, bag aadi ke liye  tarah-tarah ke designs banakar internet ki web site par daliye aur unhe bechiye. Iske liye kuch websites jaise www.zazzle.com hain jis par aap apne design bech sakte hain.

Rochak video banakar

Aapne koi na koi video YouTube par zaroor dekha hoga. YouTube duniya ki sabse badi video service hai jis par aap koi rochak video banakar upload kar sakte hain. Aap video mobile ya camera se bana sakte hain. Agar aapka video logon dwara pasand kiya gaya to usay bahut se log dekhenge aur tab YouTube aapke video par koi vigyapan bhi dikhayega jisse aapko paisa prapt hoga.

Takniki seva dekar

Yadi aap takniki visheshagya hain aur iske dwara paisa kamana chahte hain to internet par paise kama sakte hain. Kuch websites jaise oDesk, www.elance.com is tarah ka avsar pardan kartee hain. Isme website apko un logon se sampark karati hai jinhe takniki sevaon ki zaroorat hai aur aap Internet par sevayen dekar paisa kama sakte hain.

Affiliate marketing se paisa kamaye

Affiliate marketing meaning hai ki aap kisi bhi products company se jud kar us company ke products ko online advertising karke paisa kama sakte hai, jaise Amazon, snapdeal, ebay etc. Ye product companies aapko apne products ki kuch links or products details deti hai aap in links or details ko apne Blog, what’s app, Facebook etc par share karke advertising kare. Jab log aapki in links ke through products kharidenge to aapko un products ka kuch % commission milega. Es tarah se aap dhero products ko online sell karke accha paisa kama sakte hai.

Online magazine se paise kamaye

Agar aap ke paas apna khud ka koi Blog hai or aap Roj Roj apne Blog par Articles, photos etc update nahi kar paate hai to aap apne es Blog par ek magazine ko start kar sakte hai. Isme aapko roj roj isko update bhi nahi karna padega. Aap hafte ya mahine me apni magazines ko update or post karte rahe. Agar aap apni es magazines me best photo upload karenge to log aapki magazines ko jayda pasand karenge or aap accha paisa kama sakte hai. Agar aapke paas khud ka koi Blog nahi hai to aap ye kaam kisi dusre Blogger ke liye bhi kar sakte hai.

Sangeet bechkar

Yadi aap sangeetkar hain aur apko sangeet ki acchi samajh hai to aap music banakar usay internet par bech sakte hain.  Kuch website jaise amazon, google play is tarah ke avsar pradan karti hain. Aap ka sangeet gano, vigayapn aur ringtones ke liye kahrida ja sakta hai aur iske liye aapko accha paisa prapt ho sakta hai.
    

Anuvadak bankar

Yadi aapko do bhashaon ka gyan hai to aap translator bankar bhi paisa kama sakte hain. Translatorbase.com  jaise website is tarah ke karya ka avsar deti hain. Iske saath hi aise bahut se job hain jinme aap email dwara translation bhejkar paisa kama sakte hain.

Designing themes (tamplate) se paise kamaye

Dosto agar aapko php, html, css, javascript and other coding language aati hai to aap Blog ke liye nayi nayi best themes ko banakar lakho rupay kama sakte hai. Aap apne khud ke Blog or dusre theme stores par bhi best theme ko banakar sell kar sakte hai. Bahut saare Blogger apne Blog ke liye nayi nayi themes ko khojte rahte hai. Aap themes ko create karke bahut jayda paisa kama sakte hai.

Purane saaman ko bech kar

Internet par aisi kai online websites hain jin par aap apna purana saaman bech sakte hain. OLX, quikr jaise websites par is tarah ki suvidha pradan ki jaati hai. Is tarah aap purana furniture, electronics ka saaman, kapde aadi bechkar paise kama sakte hain.


      Dosto Aapko humare post kaise lge comment                    krke  jru btaae

No comments:

Post a Comment

Dream 11 se lakho rupaye Kaise Kamaye| Dream 11 Information in Hindi

Dream 11 se Paise Kaise Kamaye| Dream 11 Information in Hindi DREAM11 FANTASY CRICKET एक ऐसी गेम है जिसे आप अपने मोबाईल पर खेल हज़ारो ...